 |
 |
|
 |
 |
| |
Online Aarti of Sarasvati Ji |
| |
Jai Sarasvati mata,
jai he Sarasvati mata Sadgun vaibhav shalini,
tribhuvan vikhyata,
Jai Sarasvati mata ||
Chandravadani padmasini dyuti mangalakare,
Sohe shub hansa savare, atul tejdhari,
Jai Sarasvati mata ||
Baen kar men vina, daen kar mala,
Shish mukut mani sohe, gal motiyan mala,
Jai Sarasvati mata ||
Devi sharan jo ae, unka uddhar kiya,
Paithi Manthra dasi, Ravan sanhar kiya,
Jai Sarasvati mata ||
Vidya gyan pradayini, jag men gyan prakash bharo,
Moh aur agyan timir ka jag se nash karo,
Jai Sarasvati mata ||
Dhup dip phal meva, man svikar karo,
Gyanchakshu de mata, jag nistar karo,
Jai Sarasvati mata ||
Man Sarasvati ki arti jo koi jan gave,
Hitkari sukhkari, gyan bhakti pave,
Jai Sarasvati mata || |
|
|